Band darwaazo ke peeche
Jaane kitne ghar roz jalte hain
Kabhi kabhi raakh milti hai
tou kabhi phaili hui raakh par bane hue pairo ke nishan hi dikhte hain
Darwaazo ko band karte hue
kabhi kuch aankhe dikhti hain
phir kisi din wo aankhen
bin paani sadak par kahi padi milti hain
Peeche ki cheekho ka sira kabhi mila tou
kuch nahi hua bus,
aawao ka jhund badhta hua dikha
badhte hue gali se guzar gaya
Darwaaze kabhi khulenge lagta tou nahi
kabhi koi khula reh gaya tou
milega tou wohi sab
andhere mein kone par baithee hui Bina aur kuch kapde
Shayad isiliye in galiyo mein kabhi
andhera nahi hota
bus diye bujh jaate hain
kuch kamro mein ek waqt ke baad...